Ata Pata Laapata (2012) Songs Lyrics: Ata Pata Lapata is a bollywood hindi film released in the year 2012. Songs of Ata Pata Lapata is beautifully sung by Sukhwinder Singh, Raghubir Yadav, Malini Awasthi and Swaroop Khan.
Ata Pata Laapata (2012) Songs Lyrics:
Song Title: Ata Pata Laapata (Title) Song
Movie/Album: Ata Pata Lapata (2012)
Singers: Sukhwinder Singh
Song Lyricists: Sameer
Music Composer: Sukhwinder Singh
Music Director: Sukhwinder Singh
Director: Rajpal Yadav
Music Label: T-Series
Starring: Rajpal Yadav, Ashutosh Rana, Vijay Raaz, Yashpal Sharma, Vikram Gokhale, Dara Singh, Asrani, Razzak Khan
Release on: 12th October, 2012
Ata Pata Laapata (Title) Song Lyrics:
Charon taraf bekhauf andhera
Kadam kadam pe thagon ka dera
Arre mar gaya chaand
Bujh gayi chundhaiya
Dhoondh rahe ho kisko bhaiya
Yahan sab ata pata laapata
Yahan sab ata pata laapata
Yahan sab ata pata laapata
Yahan sab ata pata laapata
Yahan sab ata pata laapata
Yahan sab ata pata laapata
Zameen hai par makaan gayab
Shutter gira hai dukaan gayab
Teer hai lekin kamaan gayab
Khada muwakkil bayaan gayab
Be-rukhi se kar lo katti
Khol do ab kanoon ki patti
Dekh ke aankhon se sach bole
Palde mein insaaf ko tole
Kahe naujawanon ka khoon
Bane na ab andha kanoon
Har taraf failaye samta
Hoo…
Yahan sab ata pata laapata
Yahan sab ata pata laapata
Yahan sab ata pata laapata
Yahan sab ata pata laapata
Yahan sab ata pata laapata
Yahan sab ata pata laapata
Gayab ho gaya makaan
Macho hai hungama
Hungama..
Macho hai hungama
Fokat mein…
Fokat mein sab pareshaan
Macho hai hungama
Nal ke neeche sookha khada hai
Bijli gul hai pole khada hai
Planing inki lambi chaudi
Ab tak bikte le kar kaudi
Sangat mein hai ghoose kabaddi
Tod rahe aapas me haddi
Ek duje mein jung chhi hai
Kuyein mein hi bhang padi hai
Arre bhaga bhoot na mili langoti
Sasta khoon hai mehangi roti
Mehangi roti
Haaye…
Par maare na koi khata… Khata
Yahan sab ata pata laapata
Yahan sab ata pata laapata
Jageera shara ra-ra ra-ra
Ra-ra ra-ra ra-ra ra-ra ra-ra
Jageera shara ra-ra ra-ra
Jageera shara ra-ra ra-ra
Arre paani mehangi bijli mehangi
Har taraf hai shor
Arre paani mehangi bijli mehangi
Har taraf hai shor
Neta ji ke bangle pe naach raha hai moar
Jageera shara ra-ra ra-ra
Jageera shara ra-ra ra-ra
Ulta pulta saara system
Desh chal raha lassam passam
Yahan falana wahan dheemka
Kahin dahej ka kahin rape ka
Kahin pe chulha jale na bhai
Kahin pe rabdi doodh malai
Kursi ki hai kheencha taani
Karte hain saare manmaani
Nazar khuli hai munh hai khola
Pada hua hai akal pe taala
Ho o.. Inhein koi to de bata
Yahan sab ata pata laapata
Yahan sab ata pata laapata
Kahin pe mandal kahin kamandal
Kahin pe khela hai khalmandal
Kahin pe agada kahin pe pichada
Khali peeli kahin pe lafda lafda
Arre re aam aadmi bhookha nanga
Bhai bhai karte danga
Taar jute hain bina connection
Kahin promotion kahin corruption
Kaise country kare tarakki
Planning bhari kachchi pakki
Ro rahi janta
Yahan sab a a a …
Arre lut gaye sarkaar
Zamana mein aag lago hai
Lut gaye sarkaar
Zamana mein aag lago hai
Rehna ab khabardaar
Zamana mein aag lago hai
Media ne kiya parda faash
Jeet liya sabka vishwas
Khel ajab tv ke andar
Bina byah ke hua swamvar
Jaago aur jagao sabko
Ab to raah pe lao sabko
Warna sab kuchh kho jayega
Hua nahin jo ho jayega
Jhooth ka parda khol raha hoon
Jo sach hai woh bol rah hoon
Us pe hoon jogi ramta ramta ramta
Yahan sab ata pata laapata
Yahan sab ata pata laapata
O jan gayi re bajaria
Gayab hue more saanwaria
O jan gayi re bajaria
Gayab hue more saanwaria
Gir gayi mope bijuria
Gayab hue more saanwaria
Rog badhe aur badh gaye rogi
Saare jogi ban gaye bhogi
Mathadheesh ban gaye mahant
Karne lage dhandha ab sant
Draupadi cheer haran karwati
Seeta ravan ko le jaati
Kans ki kaid mein hai ghanshyam
Haar gaye ravan se raam
Aam aadmi jiska naam
Wahi karega kaam tamaam
Kyun hai bebas muh lagka
Ha ha ha
Arre bhaiya
Yahan sab ata pata laapata
Yahan sab ata pata laapata
Yahan sab ata pata laapata
Yahan sab ata pata laapata
Yahan sab ata pata laapata
Yahan sab ata pata laapata.
0 comments:
Post a Comment