Ek Thi Daayan 2013 Songs Lyrics from Ek Thi Daayan (2013) is a Bollywood horror film directed by Kannan Iyer, with music composed by Vishal Bharadwaj. The lyrics of all songs have been penned by Oscar winning lyricist Gulzar. The film features Emraan Hashmi, Konkona Sen Sharma, Huma Qureshi and Kalki Koechlin.
Ek Thi Daayan 2013 Songs Lyrics :
Yaaram Song Lyrics from thriller film Ek Thi Daayan which featured Emraan Hashmi, Konkona Sen Sharma, Kalki Koechlin and Huma Qureshi in lead roles. Song is sung by Sunidhi Chauhan and Clinton Cerejo. Yaaram Lyrics and all other songs in the film are written by Gulzar while Vishal Bharadwaj has composed the music.
Song : Yaaram
Film : Ek Thi Daayan ( 2013)
Actors : Emraan Hashmi, Kalki Koechlin, Huma Qureshi
Lyrics : Gulzar
Music : Vishal Bhardwaj
Singer : Sunidhi Chauhan, Clinton Cerejo
Yaaram Song Lyrics:
Hum cheez hain bade kaam ki.. yaaram..
Hamein kaam pe rakh lo kabhi.. yaaram..
Hum cheez hain bade kaam ki.. yaaram..
Hmm.. suraj se pehle jagaayenge
Aur akhbaar ki sab surkhiyaan
Hum gungunaayenge..
Pesh karenge garm chai tumhein
Koi khabar aaye na pasand to
End badal denge.. ae...
Munh khule jamhaai par
Hum bajaayein chutkiyaan
Dhoop na tumko lage
Khol denge chhatariyaan
Peechhe peechhe din bhar
Ghar daftar mein le ke chalenge hum..
Tumhaari filein, tumhaari diary
Gaadi ki chaabhiyan, tumhaari ainakein
Tumhaara laptop, tumhaari cap
Aur apna dil, kanwaara dil
Pyaar mein haara, bechara dil
O.. apna dil, kanwaara dil
Pyaar mein haara.. bechara dil...
Tu tu ru tu..
Tu tu ru tu..
Yeh kehne mein kuch risk hai yaaram..
Naaraz na ho ishq hai yaaram..
Ho raat savere, shaam ya dopehari
Band aankhon mein le ke tumhe ungha karenge hum
Takiye chaadar mehke rehte hain
JO tum na ho tumhari khushbu soongha karenge hum..
O.. zulf mein phansi hui khol denge baaliyaan
Kaan khinch jaaye agar kha lein meethi gaaliyaan
Chunte chalein pairon ke nishaan
Ke un par aur na paanv pade
Tumhari dhadkanein, tumhara dil sune
Tumhari saans sune, tumhari kampkapi
Na gajre bhare, juhi mogra to kabhi dil
Tumhara dil [dil], hamara dil
Pyaar mein haara bechara dil
Hamara dil, hamara dil
Pyaar mein haara.. bechara dil..
0 comments:
Post a Comment